Griha Pravesh Puja naye ghar mein pravesh karne se pehle ki jaane wali ek mahatvapurn vaidik vidhi hai. Is puja ka uddeshya ghar mein sakaratmak urja, shanti aur samriddhi laana hai. Hamare experienced Pandit Ji shastroktt vidhi se Vastu Shanti, Havan aur Kalash Sthapana karwate hain taaki naye ghar mein rehna sabhi ke liye mangalmay ho.
Griha Pravesh teen tarah ke hote hain — Apoorva (naye ghar ke liye), Sapoorva (ghar chhod kar wapas aane par), aur Dwandwa (kisi karan se ghar chhodna pada ho). Hamare Pandit Ji aapki zaroorat ke anusaar sahi vidhi suggest karte hain.
Ye samagri hum aapke ghar tak pahucha sakte hain (charges alag se) — ya aap khud arrange kar sakte hain.
Vighnaharta Ganesh ji ki puja aur puja ka sankalp liya jaata hai.
Ghar ke vastu dosh nivaran ke liye vidhi-vidhan se puja.
Agni dev ko saakshi maan kar havan sampann kiya jaata hai.
Kalash sthapit kar shubh muhurat mein ghar mein pravesh.
मिलती-जुलती पूजा